Kacche Pyaaz Aur Nariyal Ki Chatni - Idli ki recipe

Idli South-India ki wo dish hai jo sirf healthy hi nahi, fat-free, gluten free aur easy to make and fun to eat bhi hai. Aaj hum aapko iss aisi Idli ke recipe ke baare mein batayenge jo aur bhi healthy hai! Ab tak aap ghar mein sooji ki Idli banate honge, lekin taste badalne ke liye yeh Idli ki recipe jarur try kare jismein chawal ka istamal kia gaya hai. Idli ko aap nariyal ki chatni ya sambar ke sath serve karein jisse usse khane mein aur mazza aayega. Yeh Idli ki Recipe aap breakfast, lunch aur dinner, tino time use kar sakte hain.

Idli ki Recipe ki Info:

Prep Time

5 Mins

Cook Time

30 Mins

Total Time

35 Mins

Cuisine

Indian

Category

Side dish

Kacche Pyaaz Aur Nariyal Ki Chatni ki Ingredients:

  • Idli Batter
  • 2 teaspoon namak ya swaad anusaar
  • Tel greasing ke liye
  • 1 cup nariyal
  • 4 lal mirch
  • 1/2 cup pyaaz

Step-by-Step Instructions:

Idli ki Recipe:

  • Idli batter ko ek bade bartan mein daalein.
  • Ise ache se milayein taaki bulbulein nikal jaayein.
  • Zaroorat lage toh paani daalkar firse milayein.
  • Idli stand mein halka tel lagakar is batter ko daal dein.
  • Ab pressure cooker mein ya idli banana wale bartan mein 2 cup pani dalein aur gas par garam karein phir usmein idli stand daal dein.
  • High flame par 8 se 10 min idli ko bhaap dein.
  • Lid hatakar dekhe agar idli fuulkar achese ban gayi hai toh usse nikal lein.

Aap is aasan si Idli ki recipe se apne parivar ke liye healthy and easy nashta bana sakte hain aur sabke chehre pe khushi la sakte haim.

 

Kacche Pyaaz Aur Nariyal Ki Chatni Ki Recipe:

  • Pyaaz ke bahari chilke ko nikalein aur usse taiyaar rakhein. Swwad ke liye aap ismein lehsun bhi daal sakte hai.
  • Nariyal, mirch aur namak ko sukha peeskar uska ek paste bana lein.
  • Ab pyaaz daalkar use ache se pise. Agar aap lehsun ko milana chahte hain toh use bhi abhi daalein. Thoda paani daalkar iska gaadha paste bana lein.
  • Lejiye aapki chatni taiyaar hai.
  • Aap chahein toh is chatni mein chauke hue samagree bhi daal sakte hai. Par uski koi zarroart nahi hai.

Aapki chatni ab idli ke saath khaane ke liye taiyaar hai.